Mohabbat sath rehti hai
Kai roopoon mein palti hai
Kai sapnoon mein dhalti hai
Yeah barsoon se sunte hain
Kahien shoula kahien shabnam
Kahien Aag ki surat
Umeed-e-sahar ki mourat
Mohabbat man mein basti hai
Mohabbat rooh mein ghulti hai
Per jaan lo janna
Mohabbat zinda rehti hai!!!
Kahien mojoon see hai bharpoor
Kahien darya see hai sakin
Hum yeah bhi sunte hain
Mohabbat tabinda rehti hai
Wasl ki surat
Haan yeah wasl ki surat
Mohabbat sansoon mein chalti hai
Yeah Qalboon mein basti hai
Mohabbat Zinda rehti hai…!
Kisi ne khoj lagye hai
Mohabbat Akhrish hai kia???
Kisi ke khushk hontoon pe
Aab-e-sada ko lagana
Mohabbat thehar gay dil mein
Kisi bhi qaid punchi ko
Rah-e-Azari dekhana
Mohabbat ban gaye dil mein
Kisi ka dil behlana
Kisi ke zakham sihlana
Kisi ki Zulf suljhana
Mohabbat naam de dhala
Kai rang hai is ke
Kai roop hai is ke
Yeah sab hi Mohabbat hain…!
Per ik baat kehni hai
yeah sab to mohabbat ke
wo saray rang hain dekho
jo dil ko chain dene ko
hamesha sath rehte hain
sansoon ke chalne ko
Faqt ik aas dete hain
zara ghore kero gay tum
to yeah jaan jaoo gay
mohabbat ke rang yeah saray
Makhas umeed se lipte hain
Agar umeed nahi ho to….?
Chaloo….!
Mein tum ko batlaoon
Mohabbat hijr hai janna
Khizan ke bad mousam ka
Yeah ik shajar hai janna
Namukamil zeesat ki khawahish
yeah ban ke dasti hai
Aik zahar ki manind
Rag rag mein chalti hai
Weerani ankhoon mein
Sada abad kerti hai
Yeah Qalab-e-Parishaan ko
Buhat barbaad kerti hai
Mohabbat hijr ki sourat
Gar thehar gaye dil mein
To jaan lo janna
Mohabbat marti nahi hai na….?
Mohabbat maar deti hai
Haan yeah maar deti hai