Kisi ki yaad dil mein hai koi ehsaas baqi hai,
Badalte mausamon ke darmian ek raaz baqi hai,
Abhi mein safar mein höön Milegi manzil mujhe!
Magar in raaston ke darmian ek saath baqi hai,
kahin pe shaam dhalti hai kahin pe raat hoti hai
Abhi to chand Aadha hai Chandni raat baqi hai,
Chale Aao kisi din tum hamara haal Bhi dekho!
Hamara jism murda hai magar ek saans baqi hai.,
magar Umeed hai phir Bhi milegi woh humein ek din!
KHUDA par hai bharosa KHUDA ki zaat baqi hai,