Monday, January 23, 2012

Khuda se Mohabbat |



 
Suna tha humne logon se,

Muhabbat cheez aisi hai,

Chupaye chup nahi sakti,

Yeh Ankhon mein chamkti hai,

Yeh chehron pe damakti hai,

Yeh lehjoon mein jhalakti hai,

Diloon tak ko rulati

hai,

Mgr..?

Ye sub agar sach hai?

To hum ko APNE RAB se phir,

Bhala KAISI muhabbat hai?

Na Ankhon se jhalkti hai,

Na chehron par Damakti hai,

Na lehjon mein sulagti hai,

Na Dilon ko azmati hai,

Na Raton ko rulati hai

Yeh phir kaisi muhabbat hai…

Think…

Related Posts by Categories



My Page views ☺