Monday, January 30, 2012

Ab kia likhein hum khaghaz par |




Ab kia likhein hum khaghaz par
ab likhnay ko kia baqi hai...

Ek dill tha woh toot gya ,
Ab tootnae ko kya baqi hai?

Ek Shaks ko hum ne chaha tha
Ek rait pe naqsh bnaya tha,

woh rait to kub ki bikhar gae ,
woh naqsh kahan ab baqi hai

lafzon ka bana ke Taj mehal
kaghaz per sajaya kerte thy

 woh hum ko akela chorh gya
sub rishton se moun morr gya

"ab rasty sary soney hain preetam"
wo pyar kahan ab baqi hai

ab kia likhein hum kaghaz par
AB LIKHNAY KO KIA BAQI HAI?

AB LIKHNAY KO KIA BAQI HAI

Related Posts by Categories



My Page views ☺